Seerat-us-Sahaba wat Tabaien

Ek Hairat angez tahreer ……………..
Olmaaye kiraam is tahreer ko padhen Aur Apni maloomat me izafa farmaayen,,,,,,,,,,,
Ghaose paak ki paidaish se taqreeban 150 saal pahle ye kitab baghdad (iraq) me likhi gai jisko likhne wale Abu Abdullah mohammad al kalbi al abbasi baghdaadi tabqati (madari) hain(ye tabe tabaeen hain aur inka inteqal 342 hijri ko hua hai apka mazaar shareef baghdad me hai)
Ghaose pak r.a. ki paidaish se 150 sal pahle ki ye kitab “seeratussahaba vattabaeen” hai
Isme likha hua hai k hazrat syed badiuddeen qutbulmadar “taabaeen” hain Aapke walid ka naam “qazi qidwatuddin syed ali Halabi “hai
Tabaeen ke daor ki likhi gai is kitaab me saaf saaf likha hai k madare paak “aulade husain hain Aale rasool hain”
Aur ye bhi likha hai k Baghdad ke Ek azeem wali hazrat ahmad bin masrooq r.a. Madare paak ke mureed aur khalifa hain aur silsilaye aliya tabqatiya madariya ke azeem muballigh hain,,,
Jaisa k imam suyuti ne apni kitab taaj me bhi tazkira kiya hai k Ahnaaf ke sabse bade muballigh syed badiuddeen ahmad qutbulmadar r.a. hain,,,,,
is kitab ko mufti nisar sahab makanpuri Saolat library rampur se laay hain
,,,,,,,,,,, mufti shajar ali madari

Dam madar beda paar

Please download the reference: Seeratus Sahab Wat Tabaien: pdf

 

2 thoughts on “Seerat-us-Sahaba wat Tabaien

  1. Farman ali

    Dam madaar beda paar

  2. diwan hasim

    Dam madar
    Beda paar

Leave a Reply to Farman ali Cancel reply

Your email address will not be published.

You may use these HTML tags and attributes:

<a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <s> <strike> <strong>